Android Smartphone Phone Root Kaise Kare Uski Puri Jankari Hindi Me
Android Smartphone ko Root krna aapne toh suna hi hoga agar nahi suna hai toh aap iss post me apne Android Mobile ko Root Krna Sikh jayenge. Android phone ko root krne ke baad usme bahut se changing aa jati hai . Aap apne android phone ko apne tarike se customize (Use) kar skte hai. Aap phone ke Jad(“Root”) tk ja skte hai aur apne phone ke sath kuch bhi kar skte hai.
Android Phone me Rooting Kya Hoti hai
Phone rooting ka seedha matlab phone ke OS ke jad (जड़) tak pahuchna hai aur usme manchahe badlaw krna. Root ke dwara aap apne phone ka Interface , Locking System , Pre-Installed App( Phle se Installed App) ko apne hisab se change kar skte hai . Basically , Phone root me jo OS yani Android Ka Software install hota hai uske jagah par Custom Android OS daalte hai .
Apne Phone ko root krne se phle aapko Rooting ke fayde aur Nuksan ke Baare me jaanna bahut hi jaruri hai . Kyuki agar aapne kisi bhi instructions ko Halke me liya toh aapka phone dead ho skta hai .Isliye aap niche diye gaye Fayde aur nuksan ko dhiyan me rkhte huye apne phone ko Root kare .
Rooted Mobile kyu hai Jaruri
Dosto Root karne se phle hume ye janna jaruri hai ki rooting kyu jaruri hai. Aapne playstore me dekha hoga ki bahut sare applications hai jo sirf rooted phone me hi kaam karte hai. Aur agar aapko phone ke sath kuch experiment krna hai toh yah sirf rooting ke baad hi possible hai hai.
Also Read: ek Mobile me 2 WhatsApp kaise Chalaye
Rooted Mobile ke Faide
Do anything( Change UI): Sbse phle agar rooting ke fayde ki baat kare toh, rooting se aap apne phone me kuch bhi kar skte hai mtlb kuch bhi. Agar aapko thoda sa Android se related Technology ke bare me pta hai toh aap apne phone ke UI( User Interface) Ko change kar skte hai.
Boost Your Phone: Aajkl ke phone me phle se hi kuch app install hote hai toh aap un aap ko Uninstall krke apne internal memory ko badha skte hai. aur aajkl playstore par Rooted phone ke aise aise software/apps available hai jinki help se aap apne phone ko High-Advance bna skte hai. Aise aap rooted phone ke liye isliye available hote hai kyuki rooted phone me apps ko Phone ke andar tk jaane ka permission mil jata hai.
Battery Life, Processor Speed: Itna samajh liye phone ko root krne ke baad aap apne phone ke sath bahut kamaal kr skte hai chahe wo Battery life ki baat ho yaa customized User Interface ki. Aap apne processor ko Overclock ya Underclock kar skte hai. Iska matlab ye hai aapka processor speed aap badha skte hai ya ghta skte hai. Ye aapke upar depend karta hai.
Ad-free App: Apne phone ke Sleep time ko bhi badha skte hai. Phone pe aane wale advertisement ko bhi khata kr skte hai. Aap custom Rom install kr skte hai. Custom ROM ko install krne se aapko Nye Nye Options bhi mil jate hai.
Toh aap dekh skte hai ki aapke phone ko root karne ke baad kitni possibilities badh jati hai.
Mobile Root karne ke Nuksan
Warranty Problem: Agar Rooting ke Nuksan ke bare me baat kre toh sbse phle baat aati hai ki Phone ki warranty chali jati hai. Kyuki Rooting me aap apne phone ke security lock ko bhi tod ke Phone ke root tk jate hai. Warranty wala mamla sirf badi company jaise Samsung ,HTC ,LG ,Sony , Motorola me hai jbki Xiaomi, One Plus jaise phone Rooting allow krti hai .
Phone May Dead: Aapko root karte samay sabhi instruction ko follow krna hota hai nahi toh aapka phone dabba ho jayega. Toh root karne se aapko dhiyan dena jaruri hai. Phone ko root krne ke baad agar aapne kisi bhi publisher ka app install kiya toh agar koi virus attack hota hai aapke phone pr toh uske jimmedaar sirf aap honge.
Only Custom OS can Install: Android ka koi bhi latest version aapko phone ke company dwara nahi milegi. Aapko custom OS mil skta hai. Jisko Aap apne phone me install kr skte hai. Aur haa rooted phone me Apko Wallet se related koi app nahi milega.
Upar jo bhi maine fayde aur nuksan btaye hai agar aapko in nuksan se koi fark nahi pdta hai aur aap apne phone ko root krna chahte hai toh chaliye mai btata hu ki aapko root krne ke liye kya krna hai. Niche diye gaye jo bhi steps hai aapko follow krne hai .
Android Phone Root Karne ka Tarika
Ye to tarika hai Mobile ko root karne ka uske liye computer ki jarurat padegi, Direct Phone se kaise root kare without PC uski jankari yaha hai.
Step 1: Aap sbse phle apne PC me KingoRoot Software download kar lijiye .
Download Button par click karke kar sakte hai.
Step 2: Software install karne ke baad jb aap usko open krenge toh Phone ko connect karne ke liye kahega.
Step 3: Phone ko connect krne se phle Settings me Jaakar USB Debugging ko On kr de. USB debugging ka option aapko developer Options me milega.
Note: (Agar aapka Developer Options show nahi kr rha hai toh aap Build Numbers par lagataar 7 baar Tap kare . Fir aapko About phone ke option me Developer Options show krne lgega.)
Step 4: Phone PC se connect hone ke baad Aapko ROOT krne ka option milega. Aap Root pr click kar dijiye aur Aage ke Information ko pdhte huye aage badhte jaye .
Step 5: Jaise hi Rooting Process khatam hoga. Wha par finish likh kar aa jayega Iss tarah se aapka phone root ho jayega.
Desclaimer: Phone ko root karte samay phone me koi bhi problem aane par Hamari Koi V Zimmedari Nahi Hogi
Comments
Post a Comment