Top 20 Interesting Facebook Tricks In Hindi

Hello friends, me aapko is post me facebook ki top 20 interesting tricks bataunga. aap log to jaante hi honge ki facebook kitna bada social network hai. facebook ke monthly 1.70 billion se bhi jyada active users hai. facebook ka use lagbhag sabhi internet users karte hai, isi ko dekhte hue ham aapke liye 20 facebook shortcuts and tricks lekar aaye hai.
Facebook me color text kaise likhe post me mene already bataya hai ki aap color text kaise likh sakte hai. is trick ki madad se aap facebook ke messages, posts and comment ko colorfull kar sakte hai but ye trick only facebook ke official app and fb lite me bas work karti hai.
Aap dekhte honge ki aapke me daily candy crush, 3 patti etc. games aur apps ki requests ya notifications aati rehti hai, jis se pareshani hoti hai. but aap chahe to in notifications ko band kar sakte hai. in notifications ko band karne ke liye apni fb id kisi browser me login kare uske baad -
setting & privacy > Apps > Platform me jaye aur no me click kare aur setting save kare. iske baad aapke paas kisi bhi game ya app ki notification aana band ho jayegi.
1 phone me 2 facebook kaise chalaye post me mene bataya hai ki yadi aap facebook ke official app ya fb lite ka use karte hai to aap unhe double kaise kar sakte hai. waise aap is trick ki madad se apne phone ke sabhi installed apps ko double kar sakte hai.
Kabhi kabhi hamare fb wall par facebook ke ads ki post show hone lagti hai jisme bekaar content ho yaa fir koi fb friend hi aisi post daal deta hai jo hame pasand na ho to use aap apne wall se hide kar sakte hai. wall se jo bhi post hide karna hai us post ke neeche More ka option rehta hai use open kare aur hide post option choose karke setting save kar de.
Aap chahe to apne facebook ki cover photo aur profile photo ko combine kar sakte hai, jis se kisi bhi person dekhkar lagega ki ye to 1 hi photo hai. facebook ki cover photo aur profile photo combine kaise kare post me maine is trick ke bare detail se bataya hai.
Yadi aap facebook chalane ke liye messenger app ka use karte hai to aap usme chess, football & basketball
game khel sakte hai. iske liye aapko koi third party app ki jaroorat nahi padegi kyoki ye features messenger me hi inbuilt hai but facebook ki taraf se iska koi notification ya news nahi mili, isiliye ye trick jyada logo ko maalum nahi hai.
ye 3no games ke baare me mai already alag - alag post kar chuka hu jinhe aap read karke in games ke bare me jaan sakte hai.
० M essenger me basketball kaise khelte hai.
० messenger me football kaise khele.
० messenger me chess kaise khelte hai.
Aapki friendlist me bohot se friends rehte hai jinme se kuchko aap jante hai aur kuch ko nahi jaante hai. kuch friends aisi posts share karte hai jo hame pasand nahi hoti but hamari majboori rehti hai ki ham unhe unfriend nahi kar sakte but aap chahe to kisi person ko bina unfriend kiye hi uski posts apne facebook wall par show hona band kar sakte hai. iske liye us friend ko aapko unfollow karna hoga.
Unfollow karne ke liye browser me fb open kare aur apni id se login karne ke baad us person ki profile open kare jise unfollow karna hai. profile open karne ke baad
more option choose kare, uske baad unfollow option me click kare.
Is trick se aap post, comment and message me ulte text likh sakte hai aur apne friends ko surprise kar sakte hai.
Facebook me ulte text likhne ke liye Fliptext.org open kare aur message box me apna message type kare iske baad flip button me click kare, jaise hi aap flip button me click karnege to neeche diye hue box me aapke likhe hue text ulte show honge unhe copy kar le aur post, comment ya message jaha par bhi ye text likhna ho waha paste kare.
Kabhi kabhi hame facebook ki koi post pasand aa jati hai but facebook me har samay kai posts share hoti hai jis se ki aapki pasand ki wo post chhup jati hai aur yadi ham use dhoondhna chahe to bohot mehnat karni padti hai. isi problem ko dekhte hue facebook ne kisi bhi post ko save karne ka feature diya hai jis se ki aap us s aved post ko baad me bhi read kar sake.
Post save karne ke liye jo post aapko pasand ho uske neeche diye hue more option me click kare aur save option choose karke continue kare.
Saved post dekhne ke liye facebook ke homepage me jaaye aur menu option open kare isme aapko ek saved name ka option show hoga use open kare. open karne ke baad aapke dwara save ki gayi sabhi post aapko waha show hongi.
Facebook hame blank status update karne ki facility nahi deta aur na hi ham normally blank status update kar sakte hai but is simple si fb trick se aap aisa kar sakte hai. blank status upload karne ke liye @[0:0: ] is code ko status box me type kare aur post kar de, post karne ke baad aap dekhenge ki aapka status blank show ho raha hai.
Aap ye baat acche se jante honge ki ham facebook ki kisi post me comment karte hai to uske baad us post me jitni bhi likes and comments aati hai unki hame
notification aati hai jiski wajah se pareshan hokar ham jyadatar posts me ham ye sochkar comment nahi karte ki iski notifications se ham pareshaan ho jayenge but aap jis bhi post me comment karte hai uski notification aana kuch simple se steps ko follow karke band kar sakte hai.
( Note - Ye setting sirf desktop mode me hoti hai isliye yadi aap mobile user hai to aise browser me fb open kare jisme desktop mode ka option ho. )
Kisi post me comment karne ke baad uski notification band karne ke liye us post ke top right corner me menu scroll bar rehta hai use open kare aur turn off notifications for this post option choose kare. iske baad us post ki notification aapke paas aana band ho jayegi.
Messenger ka ye feature accha rehta hai ki hame kisi bhi message ki notification turant mil jati hai aur ham koi bhi work karte hue messenge ke chat heads se direct fast reply bhi kar sakte hai but yadi ham apne phone par kuch other work kar rahe hote hai to ye hame baar baar pareshan karta hai lekin iska bhi solution hai. messenger hame option deta hai ki ham iski notification kuch samay ke liye band kar sakte hai.
Messenger ki notification band karne ke liye messenger open kare aur profile icon me click kare. iske baad
Notifications & Sounds option me click kare uske baad upar ki taraf dekhe on & off ki button di hui hai, use off kare. jaise hi aap button ko off karenge to aapse time poocha jayega ki aap kitne samay tak ke liye notification band karna chahte hai. isme aap 15 minute se 24 hour tak ka time choose kar sakte hai. time select kare aur ok button me click kare. iske baad aapke paas messenger ke message aur notification utne samay tak ke liye aana band ho jayenge.
Facebook me aap chahe to apna private photo album bana sakte hai jo kisi ko show na ho aur uski photos bhi kisi ko show na ho. is album me aap apni personal photos save karke rakh sakte hai.
Private album banane ke liye apni profile open kare, iske baad photos option choose kare, iske baad create new album me click kare, iske baad album ka name choose kare aur privacy me only me choose kare. iske baad is album me aap apni private photos upload kar sakte hai jo ki kisi ko bhi show nahi hongi.
Facebook me per day kai millions log online rehte hai, jisme kuch bure log bhi hote hai, jinse aapki privacy ko khatra rehta hai. wo aapki profile photo ka galat use kar sakte hai.
Aap facebook me apni profile picture upload to karna chahte hai but aap nahi chahte ki koi use zoom kar ke dekh sake ya download kar sake to profile open kijiye aur photos option me click kijiye, Profile picture folder open kijye iske baad apni profile picture choose karke uski privacy only me kar dijiye.
Shared photo album aisa album rehta hai jisme aapke select kiye hue friends bhi photo upload kar sakte hai. maan lo ki aap kahi picnic ya tour par gaye hai to ye album aapke kafi kaam aa sakta hai. isme album banate hue friends select karna hota hai, aap jis jis friends ko is album me photo share karne ka adhikar dena chahte hai unhe select kare.
Shared photo album banane ke liye profile open kare, iske baad photos me click kare, iske baad create new album me click kare, iske baad album ka name choose, discription likhe, privacy ko public choose kare, iske baad Add contributors option me click kare aur jin friends ko aap is aalbum me photos share karne ka adhikar dena chahte hai unhe select kare aur done me click kare, iske baad folder save kare.
Facebook ki earning ka sabse bada hissa advertisement hi hai, ye aapko tarah tarah ke ads show karta hai jo ki hamare kuch kaam ke bhi nahi hote aur inki wajah se hamara time ke sath sath data bhi waste hota hai. ye ads page loading speed ko bhi slow karte hai. to aap yadi inhe off karna chahte hai to simple se steps se band kar sakte hai.
Facebook ads off karne ke liye menu open kare uske baad ads option me click kare aur off kar de.
Friends aapke facebook ka jitna bhi data hai wo id me koi problem hone par loss ho sakta hai isliye facebook ne data download karne ka feature diya hai jiski madad se aap apne fb data ko save rakh sakte hai. ye option desktop mode me aata hai isliye yadi aap mobile user hai to aise browser ka use kare jisme site desktop view me open kar sake.
Data download karne ke liye top right corner se menu open kare aur setting option me click kare. iske sabse neeche option diya hai Download a copy of your facebook data isme click kare. iske baad start archieve me click kare, iske baad password enter karne ka option aayega usme apna password enter kare aur start archieve me click kare. iske baad thodi der ki processing hogi aur kuch samay baad aapke facebook ke registered email id par fb ka ek mail aayega usme
download link hogi, waha se apna data download kare. ye data zip file me hota hai isliye yadi aap android user hai to ise open karne ke liye es file explorer app ka use kar sakte hai, ye app aapko play store me aasani se mil jayega.
Facebook me ham apna nickname bhi set kar sakte hai aur use apni profile me name ke sath show kar sakte hai. nickname ke alawa aap maidan name, married name, birth name, former name, father's name aur apne name ki alternative spelling bhi set kar sakte hai jisse ki koi bhi person facebook me aapko aasani se find kar sake. aap chahe to hi ye name fb me sabko show hoga , nahi to aap iska use other people ki aasani ke liye kar sakte hai jisse ki aapko fb me aasani se find kar sake.
Nickname set karne ke liye profile open kare, fir about me click kare iske baad dekhe other option diya hai uske neeche add nickname or maidan name ka option diya hai usme click kare. iske baad choose kare ki aapko konsa name choose karna hai ex.- nicname, maidan name, former name etc. iske baad name type kare aur save kare.
Yadi aap apne kisi friend ke pc ya mobile par, school, lab, brother ya kisi ke bhi phone par id log in chhod diye ho to sabhi jagah se ek baar me hi logout kar sakte hai. is feature se aap apne phone ko secure kar sakte hai.
Apni fb id sabhi jagah se logout karne ke liye setting & privacy me click kare, iske baad where you're logged in option me click kare, iske baad sabhi ko mark kare uske baad remove selected me click kare.
Facebook ka ye feature accha hai ki kisi bhi facebook friend ka birthday hone par hame notification mil jati hai but aapke me yadi jyada friends hai to daily hi birthday ki notifications aati hongi jis se pareshani hoti hai, lekin yadi aap chahe to in notifications ko off kar sakte hai.
Birthday notification off karne ke liye setting & privacy
me click kare, iske baad notifications option choose kare, iske baad birthday option choose kare aur fir get notification option ke saamne ka box uncheck kare.
Friends aapko facebook ki ye top 20 tricks kaisi lagi hame comment me bataye aur ye post apne friends ke saath bhi share kare.
NEXT
Aapke Phone Me Nahi Chal Rahi Jio 4g Sim To Ye Steps Follow Kare Top 20 Interesting Facebook Tricks In Hindi
Top 20 Interesting Facebook Tricks In Hindi
1. Facebook Me Color Text Kaise Likhe
2. Facebook Me Kisi Bhi App & Games Notifications Aur Invitations Ko Band Kaise Kare
3. 1 Phone Me 2 Facebook App Kaise Chalaye
4. Facebook Ki Jo Post Aapko Pasand Na Ho Usko Fb Wall Se Hide Kaise Kare
5. Facebook Me Cover Photo Aur Profile Photo Ko Combine Kaise Kare
6. Facebook Messenger Me Chess, Basketball & Football Kaise Khelte Hai
7. Kisi Facebook Friend Ko Bina Unfriend Kare Uski Post Facebook Wall Par Show Hona Kaise Band Kare
8. Faecebook Post Me Ulte ( ɐʇ ן n ) Text Kaise Likhe
9. Kisi Facebook Post Ko Baad Me Read Karne Ke Liye Save Kaise Kare
10. Facebook Me Blank Status Update Kaise Kare
11. Facebook Ki Kisi Post Me Comment Karne Ke Baad Uski Notification Band Kaise Kare
12. Facebook Messenger Ki Notification / Chat Heads Kuch Samay Ke Liye Band Kaise Kare
13. Facebook Me Private Photo Album Kaise Banaye
14. Apni Facebook Profile Picture Ki Privacy Ke Liye Use Un-clickable Kaise Banaye
15. Facebook Me Shared Photo Album Kaise Banaye
16. Facebook Ke Ads Off Kaise Kare
17. Facebook Ka All Data Download Kaise Kare
18. Facebook Me Apna Nickname Ya Maiden Name Kaise Set Kare
19. Apni Facebook Id Ek Baar Me Sabhi Jagah Se Log Out Kaise Kare
20. Facebook Me Birthday Ki Notifications Ko Off Kaise Kare
    

Comments

Popular Posts